Current News Coming Soon

Please note that this website is still Under Construction.

HUZOOR MUFTI-E-AZAM HIND MAULANA MUSTAPHA RAZA KHAN AL-QADERI (RAHMATULLAHI ALAIH)

1. TOO SHAM’E RISAALAT HE HABEEB-E-KHUDA KA NAZARA KAROON MEIN
2. HABEEBE KHUDA KA NAZARON KAROON MEIN
3. KHILA MERE DIL KI KALI GHOUS-E-AZAM (Manqabat) (on Sultaanul Awliya, Ghous-e-A’zam, Hadrat Sheik Abdul Qaadir Jilani - alaihir rahmah)
4. PAYAAM LE KE JO AAYI SABAA MADINE SE


1. TOO SHAM’E RISAALAT HE

Too sham’e Risaalat he aalam tera parwana
Too maahe Nabuwat he aai jalwa-e-ja na nah

Jo Saakiye Kausar ke chehre se naqaab uthe
Har dil bane maikhana har aankh ho paimana

Dil apne chamak uthe Imaan ki tal’at se
Kar aankh bhi Noorani ai jalwa-e ja na na

Tum aye chati baazi ronak huwi phir taazi
Kaaba huwa phir Kaaba kar daala tha but khana

Kyu Zulfe muambar se kooche na mahak uthe
He panja Qudrat jab zulfo ka tere shaana

Is Dar ki huzoori hi isya ki dawa teri
He zehre muaasi ka Taybah hi Shifa Khaana

Har pool mein boo Teri har sham-a mein zau Teri
Bulbul he tera bulbul parwana he parwana

Peetein he tere Dar ka khate he tere Dar ka
Pani he Tera pani dana he Tera dana

Sange dar jaana par karta hoon jabhi saa’i
Sajda na samj Najdi Sar deta hoon nazrana

Woh kehte na kehte kuch woh karte na karte kuch
Ai kash who sun lete Mujh se mera afsana

Abaad isse farma wiraan hai dille Noori
Jalwe tere bas jaye abaad ho wiranaa

Sarkaar ke jalwo se Roshan he dille Noori
Ta Hashr rahe Roshan Noori ka ye kaashana

2. HABEEB-E-KHUDA KA NAZARA KAROON MEIN

Habeeb-e-Khuda ka nazara karoon mein
Dilo jaan unpar nisaaraa karoon mein

Mujhe apni rehmat se to apna karle
Siwa Tere sab se kinaaraa karoon mein

Mein kyoon ghair ki thokare khane jawoon
Tere Dar se apna guzaaraa karon mein

Khudara ab aawo ke dam he labo par
Dame wapasi to nazaara karoon mein

Tere Naam par sar ko qurbaan kar ke
Tere sar se Sadqaa utaara karoon mein

Yeh ek Jaan kya hai agar ho karoro
Tere Naam par sab ko waaraa karoon mein

Tera Zikr lab par khuda dil ke andar
Yunahi zindagani guzaaraa karoon mein

Dame wapasi tak tere geet gaoon
Muhammad Muhammad phukaaraa karoon mein

Tere dar ke hote kahan jawoon pyare
Kahan apna daaman pasaaraa karoon mein

Mera Deen-o-Imaan Firishte jo pooche
Tumhari hi jaanib ishaaraa karoon mein

Khudaa aisi kuwat de mere qalam mein
Ke Bad-Mazhabon ko sudhaaraa karoon mein

Khudaa kher se laye woh din bhi Noori
Madine ki galiyan bohaaraa karoon mein

3. KHILA MERE DIL KI KALI GHOUS-E-AZAM

Khila mere dil ki kali Ghous-e-Azam
Mitaa qalb ki be kali Ghous-e-Azam 

Tere Rab ne maalik kiyaa tere jad ko
Tere Gar se duniya pali Ghous-e-Azam 

Nahin koyi bhi aisa faryaadi Aaka
Khabar jiski tumne nali Ghous-e-Azam 

Meri rozi mujko ataa karde Aaka
Tere Dar se duniya neli Ghous-e-Azam 

Namaangoon mein Tumse to phir kisse maangoon
Kahin aur bhi hai chali Ghous-e-Azam 

Jo Kismat ho Meri buri achchi kardo
Jo aadat ho badkar bhali Ghous-e-Azam 

Tera martaba aala kyoon ho na Maulaa
Tu he ibne Maula Ali Ghous-e-Azam 

Kadam gardane Awliya par he Tera
He too Rab ka aisa Wali Ghous-e-Azam 

Hamaara bhi bera lagaado kinare
Tume nakhuda’i mili Ghous-e-Azam 

Fida tumpe hojaye Noori ye muztar
Ye hai uski kwa’ish dili Ghous-e-Azam


4. PAYAAM LE KE JO AAYI SABAA MADINE SE

Payaam le ke jo aayi sabaa Madine se
Marize ishq ki laayi dawaa Madine se 

Suno to ghaur se aayi sadaa Madine se
Qareen he Rahmat-o-fadhle Khuda Madine se 

Mille Hamaare bhi dil ko jilaa Madine se
Ke mahr-o-maah ne paayi zia Madine se 

Jo aaya le ke gayaa kaun louta khaali haath
Bataade koyi sunaa ho jo “laa” Madine se 

Woh aagayaa khuld me jo aa gayaa Madine me
Gayaa wo khuld se jo chal diyaa Madine se 

Madina chasma-e-aabe hayaat he yaaro
Chalo hamesha ki le lo baqaa Madine se 

Chale jo Tayba se Muslim to khuld me pohonche
Ke seedhaa khuld ka he raasta Madine se 

Tumhaare Qadmo pe sar sadqe jaan fida hojaye
Na laaye phir mujhe mera Khuda Madine se 

Tere Habeeb ka pyaara chaman kiya barbaad
Ilaahi nikle ye Najdi balaa Madine se 

Tere naseeb ka Noori milega tujh ko bhi
Le aa’e hissa ye shaaho Gadaa Madine se