Current News Coming Soon

Please note that this website is still Under Construction.

USTAAZUZ ZAMAN HADRAT MAULANA HASSAN RAZA KHAN AL-QADERI (RAHMATULLAHI ALAIH)

1. SOO’E JANNAT KOHN JAA’E DAR TUMHARA CHOR KAR
2. AJAB RANG PAR HE BAHAARE MADINA
3. YE IKRAAM HE MUSTAFA PAR KHUDA KA
4. KHWAJA-E-HIND WO DARBAARHE ALAA TERA (Manqabat) (on Sultaanul Hind Hadrat Khwaja Muhiyudeen Chisti Ghareeb Nawaaz - alaihir rahmah)


1. SOO’E JANNAT KOHN JAA’E DAR TUMHARA CHOR KAR 

Ser Ghulshan kohn dekhe daste Tayba chor kar
Soo’e Jannat kohn jaaye Dar Tumhara chor kar 

Be liqaa’e yaraane ko chain aajaata agar
Baar baar aate na yoon Jibreel Sidra chor kar 

Mar’hi jaa’on me agar is Dar se jaa’on do qadam
Kya bache bimaare ghum Qurbe Masiha chor kar! 

Bakshwaana mujh se Aasi ka rawaa hoga kisse
Kis ke Daaman me choepoo Daaman Tumhara chor kar 

Aisi jalwo par karoon me laakh Hooro ko nisaar
Kya gharaz kyoon jaa’on Jannat ko Madina chor kar 

Hashr me ekh ekh ka mootakte phirte he adoo
Aafato me phans ghaye un ka Sahaara chor kar 

Mar ke jeethe he jo Unke Dar pe jaathe he Hassan
Jee ke marte he jo aathe he Madina chor kar

2. AJAB RANG PAR HE BAHAARE MADINA

Ajab rang par he bahaar-e-Madina
Ke sub Jannate he nisaar-e-Madina 

Meri khaak ya Rabb na barbaad ho jaaye
Passe murg kar de ghubaare Madina 

Malaa’ik lagaate he aankho mein apni
Shab-o-roz khaake Mazaar-e-Madina 

Rahe Unke jalwe bas Unke jalwe
Mera dil bane yaadeghaar Madina 

Mera dil Bulbul be nawaa di
Ilaahi dikaa de bahaare Madina 

Bana asmaa manzile ibn Maryam
Gaye Laa Makaan Tajedaare Madina 

Sharf jin se haasil huwa Ambiya ko
Wahi he Hassan iftikhaar-e-Madina

3. YE IKRAAM HE MUSTAFA PAR KHUDA KA

Ye ikraam he Mustafa par Khuda ka
Ke sub kuch Khuda ka huwa Mustafa ka 

Ye betha he sikka tumhari ataa ka
Kabhi haat uthne na payaa ghadaa ka 

Saharaa diya jub mere na Khuda ne
Huwee nawa Sayyidee pira roekh huwa ka 

Azaan kya jahaan dekho Imaan waalo
Pase Zikre he Mustafa ka 

Ke pehle zubaan Hamd se paak howe
To phir naam le wo Habeebe Khuda ka 

Tera naam le kar jo maanghe woh paaye
Tera naam lewaa he Pyaara Khuda ka 

Bhalaa he Hasan ka Janaabe Raza se
Bhalaa ho Ilahee Janaabe Raza ka

4. KHWAJA-E-HIND WO DARBAARHE ALAA TERA

Khwaja-e-Hind woh Darbaar he alaa Tera
Kabhi mah’room nahi mangane wala Tera 

He Teri Zaat ajab kar Haqiqat pyaare
Kissi teerakne paya na kinaara Tera 

Ghulshane Hind he shaadaab kaleje thande
Whah Ay Abre Karam zowr barasna Tera 

Phir mujhe Apna Darre Paak dekhade Pyaare
Aankhe Pur Noor ho phir dekhke Jalwah Tera 

Tujh ko Baghdaad se haasil huwee woh Shaane Rafee
Dunkhrah jaathe he sub dekh ke Rutbaa Tera 

Jabse Too ne Qadam Ghaus liyaa he Sar par
Awliya Sar Par Qadam lethe he Shaaha Tera 

Muhiyudeen Ghaus he aur Kwajhaa Mu’eenudeen he
Ay Hasan kyu naho mehfooz Aaqida Tera