Current News Coming Soon

Please note that this website is still Under Construction.

BY SAYYIDUNA A'LA HADRAT IMAM AHMED RAZA KHAN AL-QADERI (RAHMATULLAHI ALAIH)

1. SAB SE AOLA WOH AALA HAMARA NABI
2. DUSHMAN-E AHMAD PE SHIDDAT KIJIYE
3. SARWAR KAHOON KE MAALIK-O MAWLA KAHOON TUJHE
4. CHAMAK TUJH SE PAATE
5. LUTF UNKAA AAM HO HI JAAYEGAA
6. ARSH KI AQL DANG HE CHARKH ME ASMAAN HE
7. KARORON DUROOD
8. PHIR KE GALI GALI TABA
9. ARSHE HAQ HE MUSNADE RIF'AT RASOOLULLAH KI ZAMMINO ZAMAAN
10. ZAMMINO ZAMAAN
11. UTHADO PARDA DIKHADO CHEHRA
12. SUBHA TAYBAA MEIN HUWEE BAT-TAA HE BAARA NUUR KAA
13. UNKI MAHEK NE DIL KE GHUNCHE KHILA DIYE HAIN
14. HE KALAAME ILAHI ME SHAMSO DOHA
15. ZEHE IZZAT-O ITLAAYE MUHAMMAD
16. NE’AMATEIN BAANT TA JIS SIMT WOH ZEESHAAN GAYA
17. WAAH KYA JOODO KARAM
18. HAAJIYO AAWO SHAHENSHAHA KA RAWZA DEKHO 
19. TOO HE WOH GHOUS KE HAR GHOUS HE SHAIDA TERA (Manqabat) on Sultaanul Awliya, Ghous-e-A’zam, Hadrat Sheik Abdul Qaadir Jilani - alaihir rahmah


1. SAB SE AOLA WOH AALA HAMARA NABI

Sab se aola woh aala hamara Nabi
Sab se baala woh aala hamara Nabi

Apne Moula ka pyara hamara Nabi
Dono aalam ka Doola ha hamara Nabi

Bazme Aakhir ka Shama faroza huwa
Noore awwal ka jalwa hamara Nabi

Buj gayi jis ke aage sabhi mash’ale
Shamma woh lekeh aaya hamara Nabi

Jis ke talwon ka dohwan he aabe Hayaat
He woh jaane Maseeha hamara Nabi

Khalqe se Awliya Awliya se Rusool
Aur Rasoole se aala hamara Nabi

Jaise sab ka Khuda ek he waise hi
In ka un ka thumhara hamara Nabi

Kawn deta he dene ko muh chahiye
Dene waala he sacha hamara Nabi

Kya khabar kitne taare khile chup gaye
Par na doobe na dooba hamara Nabi

Saare ooncho meh ooncha samaj he jisse
He oos oonche se ooncha hamara Nabi

Ghum zadoh ko Raza mushda dije ke he
Be kason ka sahara hamara Nabi


2. DUSHMAN-E AHMAD PE SHIDDAT KIJIYE

Dushman-e Ahmad pe shiddat kijiye
Mulhidon ki kya murrawat kijiye

Zikr unka cheriye har baat me
Cherna Shaytaan ka aadat kijiye

Misl-e Fars zalzalay hoon Najd mein
Zikr-e Aayaat-e Walaadat kijiye

Ghaiz mein jal jaa-ein be Deeno ke dil
Yaa Rasool Allah ki Kasrat kijiye

Kijiye charcha unhee ka subh-o shaam
Jaan-e Kaafir par Qayamat kijiye

Shirk thehre jis mein ta’zeem-e Habeeb
Us bureh mazhab pe laanat kijiye

Zaalimo! Mahboob ka haqq tha yehi
Ishq ke badle adaawat kijiye

Ghaus-e-Azam aap se faryaad he
Zinda phir ye paak Millat kijiye

Mere Aaqa Hazrat Ach’che Mia
Ho Raza Ac’cha wo Soorat kijiye


3. SARWAR KAHOON KE MAALIK-O MAWLA KAHOON TUJHE

Sarwar kahoon ke Maalik-o Mawlaa kahoon tujhe
Baaghe Khaleel kaa gul-e zaybaa kahoon tujhe

Hirmaan naseeb hoon tujhe ummeed gah kahoon
Jaane muraado kaane tamanna kahoon tujhe

Gulzaar-e Quds ka gul-e rangeen adaa kahoon
Darmaan-e dard-e bulbul-e shaydaa kahoon tujhe

Subhe watan pe shaam-e ghareeban ko doon sharaf
Bekas nawaaz gesu-on waalaa kahoon tujhe

Allah re! tere jisme munawwar ki taabishen
Ay jaan-e jaan main jaane tajalli kahoon tujhe!

Mujrim hoon apne afwo ka saamaan karoon shahaa,
Yaanee Shafee rooz-e jazaa ka kahoon tujhe!

Is murdah dil ko murshda Hayaat-e abad ka doon
Taab-o tawaan-e jaan-e Maseeha kahoon tujhe

Tere to wasf ayb-e tanaahee se hain baree
Hayraan hoon mere shaah main kya kya kahoon tujhe

K`eh legi sab kuch unke sanaa khwaan ki khaamashee
Chup ho rahaa he keh ke main kya kya kahoon tujhe

Lekin Raza ne khatm-e sukhan oos pe kardiya
Khaaliq ka banda Khalq ka aaqaa kahoon tujhe!


4. CHAMAK TUJH SE PAATE

Chamak tujh se paate he sub paane waale
Mera dil bhi chamka de chamkaane waale

Barasta nahin dekh kar abre Rehmat
Badon par bhi barsa de barsaa ne waale

Madine ki khit’te Khuda tujh ko rakhe
Gareebon Faqeeron ke tahraane waale

Too zinda he Wal’llah too zinda he Wal’llah
Mere chasme aalam se chup jaane waale

Me mujrim hoo Aqaa mujhe saath le lo
Ke raste me he jaa baja thaane waale

Haram ki zami aur qadam rakh ke chalna
Ar’e sar ka mouqa he au jaane waale

Tera kahaa he tere Ghulamo se uljhe
He munkir ajab khaane ghur’raane waale

Rahe ga yunaheen unka charcha rahega
Pare khaak hojaye jaljane wale

Raza nafs dushman he dum me na aana
Kahaa too ne dekhe he chand raane waale 


5. LUTF UNKAA AAM HO HI JAAYEGAA

Lutf unkaa aam ho hi jaayegaa
Shaad har naa kaam ho hi jaayegaa

Jaan de do wadah-e deedaar par
Naqd apnaa daam ho hi jaayegaa

Yaad rah jaayegi ye bebaakiyaa
Nafs too to raam ho hi jaayegaa

Be nishaano ka nishaan mittaa nahi
Mitte mitte naam ho hi jaayegaa

Saahilo daaman sakhi ka thaam lo
Kuch na kuch in’aam ho hi jaayegaa

Yaad-e abroo kar ke tarpo bulbulo
Tukre tukre daam ho hi jaayegaa

Mufliso un ki galee mein jaa paro
Baagh-e khuld ikraam ho hi jaayegaa

Gham to un ko bhool kar liptahe yoon
Jaise apna kaam ho hi jaayegaa

Ab to laayee he Shafaa’at ‘afwo par
Barte barte aam ho hi jaayegaa

Ay Raza har kaam ka ik waqt he
Dil ko bhi aaraam ho hi jaayegaa 


6. ARSH KI AQL DANG HE CHARKH ME ASMAAN HE

Arsh ki aql dang he charkh me Asmaan he
Jaane muraad ab khidar ha ye tera Makan he

Arsh pe jaa ke murg aql thak ke gira ghash aagaya
Aur abi manzilo pare pehla hi astaana he

Arsh pe taaza cher chaar farsh me turf dhoom dhaam
Kaan jidhar laga’iye tere hi Dastaan he

Wo jo na the to kuch na tha wo jo na ho to kuch na ho
Jaan he wo jahaan ki jaan he to jahaan he

Khauf na rakh Raza zara too to he Abde Mustapha
Tere liye amaan he tere liye amaan he


7. KARORON DUROOD

Kaabe ke Badru duja tumpe karoron Durood
Taiba ke Shamsud Duha tumpe karoron Durood

Shaafa’e Roza Jazaa tumpe karoron Durood
Daafa’e jumla balaa tumpe karoron Durood

Dil karo thanda mera woh kaffe paa chaand sa
Seene pe rakhdo zaraa tumpe karoron Durood

Aur koyee Ghayb kya tum se Nihaan ho bhalaa
Jab na Khudaa hi Chupaa tumpe karoron Durood

Wo Shabbe Me’raj raaj woh safe Mehshar ka Taaj
Koyee bhi aisa howa tumpse karoron Durood

Kar ke tumhare Gunaah mange tumhee se Panaah
Tum kaho Daaman me aa tumpe karoron Durood

Tum ho Haafiz-o-Mughees kya he woh Dushman Khabees
Tum ho to phir khauf kya tumpe karoron Durood

Ek taraf A’daa’e Deen ek taraf he Haasideen
Banda he tanha Shaha tumpe karoron Durood

Hum ne khataa me na ki tum ne ataa me ki
Koyi kami sarwaraa tumpe karoron Durood

Aankh ataa kijiye us me ziya dijiye
Jalwa qareeb aa gaya tumpe karoron Durood

Kaam wo le lijiye tum ko jo Raazi kareh
Theek ho naame Raza tumpe karoron Durood

 

8. PHIR KE GALI GALI TABA

Phir ke gali gali tabaah tokare sab ki khayen kyoon
Dil ko jo akal de Khuda teri gali se jayen kyoon

Ruqsate kaafila ka shor gashse hamme uthae kyoon
Sote hain Unke Sayen mein koyi hamme jagaaye kyoon

Yaaden Huzoor ki Kasam gaflate aish he sitam
Khoob hai qaide ghum mein hum koyee hamme churae kyoon

Dekh ke Hazrate Gani phel pare Faqeer bhi
Chaayi he ab to chauni Hashr hi aana jae kyoon

Jaan he Ishqe Mustafa roz fizoo kare Khuda
Jis ko ho dard ka mazaa naaze dawan uthae kyoon

Woh jo nathe to kuch natha woh jo naho to kuch naho
Jaan he woh jahan ki, jaan hai to jahaan hai

He to Raza nira Sitam jurm pe gar lajaaye hum
Koyee bajaaye soze gam saze tarab bajaaye kyoon


9. ARSHE HAQ HE MUSNADE RIF'AT RASOOLULLAH KI

Arshe Haq he musnade rif’at Rasoolullah ki
Dekhni he Hashr me Izzat Rasoolullah ki

Qabr me lehraa-e-ge tha Hasr chashme noor ke
Jalwah farmahogi jab tal’at Rasoolullah ki

Laa Wa Rabbil Arsh jisko jo mila Unse mila
Bat’ti he Kownain me neh’mat Rasoolullah ki

Wo Jahannum me gaya jo Unse mustaghni huwa
He Khalleelullah ko haajat Rasoolullah ki

Sooraj ulthe paa-ow palthe chaand ishaare se ho chaak
Undhe Najdi dekhle Qudrat Rasoolullah ki

Tujhse aur Jannat se kya matlab Wahabi door ho
Hum Rasoolullah ke, Jannat Rasoolullah ki

Hum bhikaari Wo Kareem, Unka Khudaa Unse fizoo
Aur naa kehna nahee Aadat Rasoolullah ki

Ahle Sunnat ka he beraah paar Ashaabe Rasool
Najm he aur Naaho he Itrat Rasoolullah ki

Looth jaa-ege ghunaagaro ke fawrun qaid-o-bund
Hashr ko khuljaaegi Taaqat Rasoolullah ki

Ya Rabb ik saa’at me dhul jaa-e siyaakaro ke jurm
Josh par aajaaye ab Rehmat Rasoolullah ki

Eh Raza khud Saahibe Quraa he mud’daahe Huzoor
Tujhse kab moumkin he phir midhat Rasoolullah ki

10. ZAMMINO ZAMAAN

Zammino Zamaan tumhare liye
Makino Makan tumhare liye
Chunino Chuna tumhare liye
Bane do jahan tumhare liye


Dahan me zuban tumhare liye
Badan me he Jaan tumhare liye
Hum aye Yahan tumhare liye
Uthe bhi Wahan tumhare liye

Farishte Khidam Rasoole Hashm
Tamame Umam Ghulame karam
Wajoodo Adam Haduso kidam
Jahan me aya tumhare liye

Kalimo Naji Masiho Safi
Khalilo Razi Rasoolo Nabi
Atiko wasi Gani-o-Ali
Sana ki Zuban tumhare liye

Asaalate kul Imaamate kul
Siyaadate kul Imaarate kul
Hukoomate kul Wilayate kul
Khuda ke Yahan tumhare liye

Tumhari Chamak tumhari Damak
Tumhari Jhalak tumhari Mahak
Zammino Falak Simako Samak
Me sikka rawa tumhare liye

Ye Shamso Kamar ye Shaamo Shar
Ye bargo sajar ye baago samar
Ye tewo sipar ye Taajo kamar
Ye hukme Rawan tumare liye

Na Roohe Ami na Arshe bari
Na Laohe Mobin koyee bi kahin
Khabar hi nahin jo Ramz khile
Azal ki Nihan tumhare liye

Jina me Chaman Chaman me Saman
Saman me Phaban Phaban me Dulhan
Sazaa’e Mahan par aise Minan
Ye amno amaa tumhare liye

Khalilo Naji Masiho Safi
Sabhi se kahin kahin bhi banin
Ye be-khabari ke Khalk phiri
Kahan se kahan tumhare liye

Ishaare se Chand chir diya
Doobe huwe Khud ko pher liya
Gaye huwe Din ko Asr kiya
Ye Taabo Tawaan tumhare liye

Sabbah woh chale ke Baag phale
Wo Phool khile ke din ho bhale
Liwa ke tale Sana me khule
Raza ki zuban tumhare liye

11. UTHADO PARDA DIKHADO CHEHRA

Uthado Parda dikhado Chehra
Ke Noore bari hijab me he
Zamaana taarikh ho rahaa he
Ke mehr kab se naqaab me he

Unhiki boo ma ya saman he
Unhi ka Jalwa chaman chaman he
Unhi se Gulshan mehak rahe he
Unhi ki rangat ghulab me he

Khare he Munkar Nakir sar par
Na koyee haami na koyee yaawar
Batado aakar mere Payambar
Ke sakht mushkil jawab me he

Khuda-e kah’har he gazab par
Khule he badkaariyo ke Daftar
Bachaalo aakar Shafi-e Mehshar
Tumhara banda azaab me he

Kareem aisa mila ke jiske
Khule he haath aur bhare khazaane
Batao-e mufliso ke phir kyoon
Tumhara dil iztaraab mein he

Karim apne karam ka Sadqa
Laim beqadr ko na sharma
Too aur Raza se Hisaab lena
Raza bhi koyee Hisaab me he

12. SUBHA TAYBAA MEIN HUWEE BAT-TAA HE BAARA NOOR KAA

Subha Taybaa mein huwee bat-taa he baara Noor ka
Sadqa lene Noor ka aaya he taara Noor ka

Baagh-e Taybaa mein Suhaana phool phoola Noor ka
Mast boo he bulbule parti he Kalma Noor ka

Baarahween ke Chaand ka mujraa he Sajdah Noor ka
Baarah Burjon se Jhukaa ik ik Sitaara Noor ka!

Aayee Bid’at chaayi zulmat rang badlaa Noor ka
Maahe Sunnat mahr-e Tal’at le le badla Noor ka

Tere hi Maathe rahaa ay jaan Sahraa Noor ka
Bakht jaaga Noor ka chamkaa Sitaara Noor ka

Mein Gadaa Tu Baadshah bhar de piyaala Noor ka
Noor din duunaa teraa dedaal Sadqa Noor ka

Taaj Waale dekh kar tera Imaama Noor ka
Sar jhuka te hain Ilaahi bol baalaa Noor ka

Sham’a dil mishkaat tan Seenaa zujaajah Noor ka
Teri Soorat ke liye aayah he Surah Noor ka!

Too he Saayaa Noor ka har ‘uzw tukra Noor ka
Saaya ka Saaya na hota he na Saaya Noor ka!

Teri Nasl-e Paak mein he Bachcha Bachcha Noor ka
Too he ‘ayn-e-noor tera sab Gharaana Noor ka!

Chaand jhuk jaata jidhar Unglee uthaate Mahd mein
Kyaa hi chaltaa thaa Ishaare par Khilawnaa Noor ka

Ay Raza ye Ahmed-e Noori ka Fayz-e Noor he
Ho gayee meri Ghazal bar kar Qaseeda Noor ka!

13. UNKI MAHEK NE DIL KE GHUNCHE KHILA DIYE HAIN

Unki mahek ne dil ke Ghunche khila diye hain
Jis raah chal diye hain Koochey basa diye hain

Jab aa gayi he joshe rehmat pe unki ankhen
Jalte bhujha diye hain rote hasa diye hain

Ik dil hamara kya he aazaar uska kitna
Tum ne to chalte phirte moorde jila diye hain

Unke nisaar koyee kaise hi runj mein ho
Jab yaad agaye hain sab gham bhula diye hain

Aane do ya dubo do ab to Tumhari Jaanib
Kashti tumhi pe chori Langar utha diye hain

Dulha se itna kehdo pyare sawari roko
Mushkil mein hain Baraati poorkhaar bada’iye hain

Allah kya Jahannam ab bhi na sard hoga
Ro ro ke Mustafa ne darya baha diye hain

Mere Kareem se gar qatra kisi ne maanga
Darya baha diye hain dur be baha diye hain

Mulke sukhn ki shahi tum ko Raza musallam
Jis simt agaye hoon sikke bitha diye hain

14. HE KALAAME ILAHI ME SHAMSO DOHA

He Kalaame Ilahi me Shamso Doha
Tere Chehra-e Noor fiza ki Kasam

Kasame Shabbe taar me raaz ye tha
Ke Habeeb ki Zulfe Dota ki Kasam

Tere Khulk ko Haq ne Azim kahan
Teri Khalk ko Haq ne Jameel kiya

Koyee tujsa huwa he na hoga shaha
Tere khaleke Husno ada ki Kasam

Wo Khuda ne he martabe tujko diya
Na kisi ko mile na kisi ko mila

Ke Kalaame Majid ne kaha hi shaha
Tere Shehro Kalaamo Bakaa ki Kasam

Tera Masnade Naaz he Arshi bari
Tera Mehrame Raaz he Roohi ami

Toohi Sarware har do jahan he shaha
Tera misl nahin he Khuda ki kasam

Yehi arz he Khaaleke arzo samaan
Woh Rasool he tere me bandaa tera

Muje unke jawaar me de wo jagaa
Kahe Khuld ko jiski safa ki Kasam

Toohi bando pe kar ta he lutfo ata
He tujhi pe barosa tujhi se Dua

Mujhe Jalwaa Paake Rasool dhika
Tujhe apne hi izzo ula ki Kasam

Yehi kehti he Bulbule baage jinaa
Ke Raza ki tara koyee sehr bayan

Nahin Hind me wasife shahe hoda
Mujhe shokhi-e Tabi Raza ki Kasam

15. ZEHE IZZAT-O ITLAAYE MUHAMMAD 

Zehe Izzat-o itlaaye Muhammad 
Ke he Arsh-e-Haqq zer-e-paaye Muhammad

Makaan Arsh unka falak farsh inka
Malak khaadmaan-e-saraaye Muhammad

Khuda ki Raza chaahata hain do Aalam
Khuda chaahata he Razaaye Muhammad

Ajab kya agar raham farmaaye hum par
Khudaaye Muhammad Baraaye Muhammad

Muhammad baraaye Janaab-e-Ilaahi
Janaab-e-Ilaahi Baraaye Muhammad

Dam-e-nazaa’ jaari ho meri zabaan par
Muhammad Muhammad Khudaaye Muhammad

Mein qurbaan kya pyaari pyaari he nisbat!
Yeh aan Khuda woh Khudaaye Muhammad

Khuda unko kis pyaar se dekhta he
Joh aankhein hein mah-we-liqaaye Muhammad

Ijaabat ka sehra Inaayat ka jawra
Dulhan ban ke niklee Duaaye Muhammad

Raza pul se ab Wajd karte guzrehes
Ke he Rabbi Sallim Sadaaye Muhammad

16. NE’AMATEIN BAANT TA JIS SIMT WOH ZEESHAAN GAYA

Ne’amatein baant ta jis simt woh zeeshaan gaya
Saath hi munshiaey rehmat ka qalam daan gaya

Le khabar jald ke ghairon ki taraf dahyan gaya
Mere Maula mere Aqa tere qurbaan gaya

Aah woh aankh ke nakaame tamanna hi rahi
Hai woh dil jo tere dar se pur arman gaya

Dil he woh dil jo teri yaad se ma’moor raha
Sar he woh sar jo tere Qadmon pe qurbaan gaya

Unhein jana unhen mana na rakhha ghair se kaam
Lillah hil Hamd mein Duniya se Musalman gaya

Aur tum par mere Aaqa ki Inayat na sahi
Najdiyo Kalmah parhane ka bhi ehsaan gaya

Aaj le unki Panah aaj madad maang unse
Phir na maanege Qayamat mein agar maan gaya

Jaano dil hosho khirad sab to Madine pahonche
Tum nahin chalte Raza sara to samaan gaya

17. WAAH KYA JOODO KARAM

Waah kya jood-o-karam he shaah-e-bathaa tera
Nahi sunta hi nahi maangne waala tera

Asmaa kahaa zami kahaa zamaana mehmaan
Saahibe khanna laqab kis ka he tera tera

Farsh waale teri shoukat ka uloo kya jaane
Khus rawa arsh pe urta he phir yaraa tera

Meh to Maalik hi kahunga ke ho Maalik ke Habeeb
Yani Mahboob-o-muhib me nahi tera mera

Tere qadmon mein jo hain ghair ka munh kya dekhein
Kon nazro me juke dekh ke talwa tera

Ek mein kya mere isyan ki Haqiqat kinti
Mujh se so lakh ko kaafi he ishara tera

Tere Sadqe tujhe ekh boond bohat he teri
Jis din achchon ko mile jaam chalak ta tera

Teri Sarkaar me laata he Raza us ko Shafee
Jo mera Ghaus he aur laadala beta tera

18. HAAJIYO AAWO SHAHENSHAHA KA RAWZA DEKHO

Haajiyo aawo Shahenshaha ka Rawza dekho
Kaaba to dekh chuke Kaabe ka Kaaba dekho

Rukhne Shaami se mithi wah’shate shaame gurbat
Ab Madine ko chalo subhe dil aaraa dekho

Aabe Zam-Zam to piyaa khoob bujaa-ee pyaase
Aawo joode Shahe Kowsar ka bi darya dekho

Zayre Mizaab mille khoob Karamke cheenthe
Abre Rehmat ka yaha zowr barasnaa dekho

Khoob aankho se lagaaya he Ghilaafe Kaaba
Kasre Mehboob ke parde ka bhi jalwah dekho

Zeenate Kaaba me tha laakh ardeso ka banawa
Jalwa farma yaha kownain ka doolhaa dekho

Dhochuka zulmate dil bosaa-e sunghe Aswad
Khaak bosi-e-Madina ka bhi Rutbaa dekho

Jum’ma-e Makkah tha Eid, Ahle Ibaadat keliye Mujrimo!
Aawo yaha Eide do Shaneba dekho

Raqse Bismilki bahaare to Minaa me dekhe
Dil khonaa be Fishaa ka bhi Tarapna dekho

Ghowr se soun to Raza Kaaba se aati he sadaa
Meri aankho se mere Pyaare ka Rowzaa dekho

19. TOO HE WOH GHOUS KE HAR GHOUS HEH SHAIDA TERA

Too he woh Ghous ke har Gous he shaida tera
Too he woh Gais ke har Gais he payasa tera 

Suraj aglow ke chamakte te chamak kar dubeh
Ufaq Noore pe he Mahr hamesha tera 

Murg sab bolte he bol ke chup rehte heh
Ha aseel ek nawasanj rahe ga tera 

Jo Wali qabal te ma baad howe ya hoonge
Sab adab rakteh he dil me mere aaka tera 

Tujse aur dahar ke Aqtaab se nisbat kaisi
Qutub khud koon he khadim tera chela tera 

Saare Aqtaabe jaha karte he Kaabe ka Tawaaf
Kaaba karta he Tawaafe dare wala tera 

Too he nausha baraati he ye saara gulzaar
La’ee he fasle saman goondh ke sehra tera 

Daaliyah jhoomti he raqse khushi joush pe he
Bulbule jholti he gaathi he sehra tera 

Geet kaliyo ki chatak gazle hazaaro ki chahak
Baagh ke saazo me bajta he tarana tera 

Kis ghulistaan ko nahin fasle bahari se niyaaz
Kaun se silsile meh faiz na ayaa tera 

Heh Raza yoon na balak to nahein jayyad to na ho
Sayyidi Jayyad har dahar he Maula tera