Current News Coming Soon

Please note that this website is still Under Construction.

HUJJATUL ISLAM HADRAT MAULANA HAAMID RAZA KHAN AL-QADERI (RAHMATULLAHI ALAIH)

1. ALLAHU ALLAHU
2. GUNAHGARO KA ROZE MAHSHAR
3. MUHAMMAD MUSTAFA NOORE KHUDA


1. ALLAHU ALLAHU

Rah ke pardo me too jalwa aara huwa
Bas ke aankho me aankho se pardah kiya
Aankh ka pardah, pardah huwa aankh ka
Bund aankhe huwi to nazaar ayaa too

Allahu Allahu Allahu Allahu (x2)

Kabaa-e-Kabaa he Kabaa dil mera
Kabaa pathar ka dil jalwa gaahe Khuda
Ek dil par hazaaro hi Kaabe Khuda
Kaaba-e-jaan-o-dil Kaaba ki aarazoo

Allahu Allahu Allahu Allahu (x2)

Kohn tha jis ne Subhani farmadiya
Aur Maa Azam Shaani kis ne kahaa
Ba Yazeed aur Bustaam me kohn tha
Kub Anal Haqq thi Mansoor ki guftagoo

Allahu Allahu Allahu Allahu (x2)

Ya Ilahi dikha hum bhi wo din bhi too
Aabe Zam Zam se kar ke Haram me Wuzu
Ba adab shouq se baith’kar Qibla Rooh
Mil ke hum sub kahe yak zubaan Hoo Bahoo

Allahu Allahu Allahu Allahu (x2)

Me ne maana ke Haamid gunahgaar he
Ma’siyat kaish he aur khatakaar he Mere Maula magar
Too to Ghaf’far he Kahti Rahmat he mujrim se Laa Taqnatu

Allahu Allahu Allahu Allahu (x2)

2. GUNAHGARO KA ROZE MAHSHAR

Gunahgaro ka Roze Mahshar Shafi-ul-Anaam hoga
Dulhan Shifa’at banegi Doolha Nabi alaihis salaam hoga

Kabhi to chamkega Najme Qismat, hilaal mahe tamaam hoga
Kabhi to zare pe mahr hogi kabhi woh mahr idhar khush khiraam hoga

Para hoo me unki rah guzar me pare hi rahn se kaam hoga
Dil-o-jigar farsh raah banenge ye deeda-e-ishq khiraam hoga

Unhi ka moo sub takenge us din jo woh karenge woh kaam
Duhaa’i sub unki dete honge Unhi ka har lub pe naam hoga

Khuda ki Marzi he unki marzi, he unki marzi Khuda ki Marzi
Unhi ki marzi ye ho raha he unhi ki marzi ye kaam hoga

Jidhar Khuda he udhar Nabi he, jidhar nabi he udhar Khuda he
Khudaayi bhar sub idhar phiregi jidhar woh Aali maqaam hoga

Ussi tamanna me dum para’he yahi sahaara he zindagi ka Bulalo
mujko Madina sarwar nahi to jeena Haraam hoga

Huzoor Roza huwa jo haazir to apni saj dhaj ye hogi Haamid
Khamida sar aankh band lub par mere Durood-o-Salaam hoga


3. MUHAMMAD MUSTAFA NOORE KHUDA

Muhammad Mustafa noore khuda name khuda tum ho
Sha’e khairul wara shaane khuda salle alaa tum ho

Shakebe dil karare jaa Muhammad Mustafa tum ho
Tabeebe darde dil tum ho mere dil ki dawa tum ho

Ghareebo dard mando ki dawaa tum ho Duaa tum ho
Faqeero be nawa’o ki sada tum ho nida tum ho

Habeebe Kibriya tum ho Imaamul Ambiya tum ho
Muhammad Mustafa tum ho Muhammad Mujtaba tum ho

Me sadqe Ambiya ke yoo to sub Mahboob he lekin
Jo sub pyaaro se pyaara he woh Mahboobe Khuda tum ho

Tumhare husno rangeen ki jhalak he sub hasino me
Baharo ki bahaaro me, bahaare jaan fiza tum ho

Na ho sakte he do awal na ho sakte he do Aakhir
Tum awal aur aakhir ibtidaa tum intihaa tum ho

Khuda kehte nahi banti juda kehte nahi banti
Khuda par us ko chora he Wahi jaane ke kya tum ho

Anaa min Haamid-o-Haamid Raza min’ni ke jalwo se
Bi Hamdilla Raza Haamid he aur Haamid Raza tum ho