Current News Coming Soon

Please note that this website is still Under Construction.

MANQABATS

1. HUMARE AAQA HUMAARE MOULA IMAME AZAM ABU HANIFA on Hadrat Imam-e A’zam Abu Hanifa  (alaihir rahmah) By Moulana Hassan Raza Khan (alaihir rahmah)
2. PUKAAR TE HE TUMHARE GHADAA GHAREEB NAWAAZ
on Sultaanul Awliya, Khwaja Muhiyudeen Chisti Ajmeri Ghareeb Nawaaz  (alaihir rahmah) By Sayyid Altaaf Ali Ahsaani
3. KHWAJA AJMER HE SHAMME SHABISTAANE RASOOL
on Sultaanul Awliya, Khwaja Muhiyudeen Chisti Ajmeri Ghareeb Nawaaz  (alaihir rahmah)
4. CHORO IS DUNIYA KI SIYAASAT HASSAN MIA KI BATH KARO
on Huzoor Ahsanul Ulema Hazrat Sayed Shah Mustafa Haider Hassan Mian Saheb Qaderi Barakaati Ahmedi Qaasimi  (alaihir rahmah) By Sayed Ale Rasool Sayyid Nazmi Mian Sahib Qibla
5. YOON TO JAHAN ME PEER-E BOHOT HEH
on Imam-e-Ahle Sunnat, A’la Hadrat, Imam Ahmed Raza Khan Al-Qaderi  (alaihir rahmah)
6. A’LA HAZRAT HE AALA MAQAAM AAP KA
on A’la Hadrat, Imam-e-Ahle Sunnat, Imam Ahmed Raza Qaderi  (alaihir rahmah)
7. YA KHUDA CHARKH-E-ISLAM PAR TA ABAD
on A’la Hadrat, Imam-e-Ahle Sunnat, Imam Ahmed Raza Qaderi  (alaihir rahmah) By Janab Dilkash Ranchavi
8. AHMAD RAZA KA TAAZA GULISTAA HE AAJ BHI
on Imam-e-Ahle Sunnat, A’la Hadrat, Imam Ahmed Raza Khan Qaderi  (alaihir rahmah) By Janab Mirza


1. HUMARE AAQA HUMAARE MOULA IMAME AZAM ABU HANIFA

By Moulana Hassan Raza Khan (alaihir rahmah)

Humare Aaqa humaare Moula Imame Azam Abu Hanifa
Humaare Muljaa' humaare maawa Imame Azam Abu Hanifa 

 

Toumee ko manaa, Toumee ko jaanaa, Toumee ko Subke Imaam the're
Milaa na ko-ee Imaam Toumsaa Imame Azam Abu Hanifa 


Siraaj Tuhe baghair tere jo ko-ee samajhe Hadeeso Quraan
Phire batakhta na paa-e rasta Imame Azam Abu Hanifa 


Jo Teri taqleed shirk hotee, Muhaddiseen Sare hote mushrik
Bukhaari-o-Muslim Ibn Majah Imame Azam Abu Hanifa 


Khabar'le eh Dastageer Ummat Be khabar ke Shiddat
Wo Tera hokar' phir're bathakta Imame Azam Abu Hanifa 

2. PUKAAR TE HE TUMHARE GHADAA GHAREEB NAWAAZ

By Sayyid Altaaf Ali Ahsaani 

Nigha’he lutf ho hum par bhi Ya Ghareeb Nawaaz
Pukaar te he tumhare ghadaa Ghareeb Nawaaz 


Tarpa rahe hoon me Roze ki haazri keliye
Ye Aarzoo bhi nikal jaa’e Ya Ghareeb Nawaaz 


Hazaar andhiya aakar bujhaa nahein sakte
Jo tum ne kardiya Roshan diya Ghareeb Nawaaz 


Tumhare faiz se armaan dil ke baraa’i Qubool
ho ye meri iltijaa Ghareeb Nawaaz 


Ye sach he ke Aap ke dar se muraad milti he
Ko’ee na loot ke khali gaya Ghareeb Nawaaz 


Tumhare ho ke kisi ghair se sawaal kare
Zamaana hum ko pukaarega kiya Ghareeb Nawaaz 


Ghulaam Aap ka Altaaf bhi he Ya Khwaja
Ye fakhr bhi nahein kuch kum he Ya Ghareeb Nawaaz 

3. KHWAJA AJMER HE SHAMME SHABISTAANE RASOOL 

Rangho khusbohe agar jazwe gulistaane Rasool
Khwaja Ajmer he Shamme Shabistaane Rasool 


Chistiyo nisbat Tuhaari Hashr'ke din dekhna
Lekeh jaa-eghee Tumhe ye zayre daamane Rasool 


Kwajaa Ajmer se bhi chashme tar'hi manghiye!
Ye ataa hojaa-e tow hojaa-e Irfaane Rasool 


Apni nisbatbhi ataa ki Ishke Ahmad bhi diyaa
Ek he Ehsaane Kwajaa Ek he Ehsaane Rasool 


Aan Unki Shaan Unki Unka Undaaza Karam
Jinko kehta he zamaane jaane janaane Rasool 


Faiz Kwajaa ka Adeeb khooshnawa par dekhna
Manqabat Kwajaa kihe ye Midhate shaane Rasool

4. CHORO IS DUNIYA KI SIYAASAT HASSAN MIA KI BATH KARO

By Sayed Ale Rasool Sayyid Nazmi Mian Sahib Qibla 

Choro is Duniya ki siyaasat Hassan Mia ki baath karo
Rooh me aa jaayegi bashaasht Hassan Mia ki baath karo 


Jub bhi kabhi tum sacche dil se unka tassawir baandhoge
Khwaab me ho jayegi ziyaarat Hassan Mia ki bath karo 


Shaitaan jub bhi dil ke qile’ par qabza karne ayega
Peer ki par’jayegi zuroorat Hassan Mia ki baath karo


Haafiz, Qaari, Mufti, Aalim apni zaath me sub kuch the
Zaath-e-Muqaddas waala barkat Hassan Mia ki baath karo 


Chowan saal ussi Mimbar se dars diya Deen-e-Haqq ka
Unki Fasaahat unki Balaaghat Hassan Mia ki baath karo 


Inke Wujood ne dushman ko bhi dee he tahafuz ki chadaar
Sabr aur Zabt me aisa husne Khalqat Hassan Mia ki baath karo 


Kaise Nana ke he nawaase kaise baap ke bete he
Haa haa karwaa’enge Shifa’at Hassan Mia ki baath karo 


Niyyat baandi seedhe lete apne Rabb ka Naam liya
Bilkul Waliya ki see rahlat Hassan Mia ki baath karo 


Shah-e-Hamza ki shaydaayi Ac’che Suthre ke Aashiq Haa haa
Naa’ib-e-Shah-e-Barkat Hassan Mia ki bath karo 


Har ekh aaj yahee kehta he meri chaahat ziyaada the
Apno ghairo me ye shohrat Hassan Mia ki baath karo 


Nazmi par ekh khaas inayat khaas hee shaqfat rakhte the
Waalid ki chaahat ki riwaayat Hassan Mia ki baath karo 

5. YOON TO JAHAN ME PEER-E BOHOT HEH 


Yoon to jahan me peer-e bohot heh
Ay Barakaati Deewano
Mere Raza ka Murshid hona
Sub ke bus ki baath nahi 


Charo taraf he Deen ke dushman
Beech-e me tanha mere Raza
Ayse me Islam bachaana
Sub ke bus ke baath nahi 


Haafiz Qari Wa’iz Mufi Koyi bhi ban sakhta he
Mufti-e-A’zam ban ke dikana sub ke bus ke baath nahi

6. A’LA HAZRAT HE AALA MAQAAM AAP KA 

A’la Hazrat he aala maqaam aap ka
Isliyeh A’la Hazrat he naam aap ka


Mustapha Jaane Rehmat pe lakho Salaam
Kitnah mashoor he ye Salaam aap ka 


Ahmed Raza ke hum he, Ahmed Raza hamare
Hum he Bareilly wale, Hum he Bareilly wale 
Gustakhe aaj tu ne, unko agar na maana


Kal dekhna banega Dozakh tera tikana 
He khayriat iseene, Sarkaar ko manaale
Hum he Bareilly wale 


Be waj ha kya dikhaye, hum tum ko shaan apni
Hum Maslak-e Raza par, be dehnge jaan apni
Hum Sunniyo ko Zaalim, jab chahe aaze maane
Hum he Bareilly wale 


Shayda he hum Raza ke, peeche nahi hatenge
Tere sawaal ka hum, dat kar jawaab dhenge
Jo soor maho tera, us ko yahi bulale
Hum he Bareilly wale 


Markad me teri munkir, hogi danadal Qutni
Tujhse hume garaz kya, hum he tanaatan Sunni
Ya tu Nabi ka hoja, ya mooh ko chup lagaale
Hum he Bareilly wale 


Jin ka diya tu taye, unhi ko tu gur’raaye
Lagta he tu ne pi’eh he Ashraf Ali ki chayeh
Duniya-e-Sunniyat me, har soo he jin ka charcha
Qurbaan un pe Akmal, apna he bacha bacha
Wo Mustapha Raza he, Ahmed Raza ke paale
Hum he Bareilly wale 

7. YA KHUDA CHARKH-E-ISLAM PAR TA ABAD

By Janab Dilkash Ranchavi 

Ya Khuda charkh-e-Islam par ta abad
Akhtare burjhe rifa’at Salaamat rahe Deen

Haq ki ish’aat ke khatir sadaa
Mera Taajush Shari’at Salaamat rahe

Ghulshane A’la Hazrat ke jitne he phool
Saare phoolo ke nikhat Salaamat rahe 

Laakh jalte rahe dushmanaanai Raza
Kam nahonge kabhi madha kane Raza

Keh rahe he sabhi ashiqane Raza
Maslake A’la Hazrat Salaamat rahe 

Ay Bareilly mera baage Jannat he tu
Yani jalwe gaye A’la Hazrat he tu

Bil yaqeen Markaze Ahle Sunnat he tu
Ye teri Markaziyat Salaamat rahe 

Roze Mehshar agar mujhse pooche Khuda
Bole Ale Rasool tu laya he kya

Arz kardunga laya hoon Ahmed Raza
Ya Khuda ye amanaat Salaamat rahe 

Jab pare mahe Tayba ke noore kiran
Lehlaaha ye Bareilly ka husne chaman

Joom uthe dekh kar sare ahle sunnan
Gulshane Qaderiyat Salaamat rahe 

A’la Hazrat ka Dilkash ye ehsaan he
Ab talak ba ke kooshboo we Imaan he

Ya Khuda ye Bareilly ka faizan he
Ye ataa ye inayat Salaamat rahe 

8. AHMAD RAZA KA TAAZA GULISTAA HE AAJ BHI


By Janab Mirza 

Ahmad Raza ka taaza gulistaa he aaj bhi
I’lm unka darakhsaa he aaj bhi 

Arsaa huwa wo marde Mujaahid chalaagaya
Seeno me ek sua’zishe pinhaa he aaj bhi 

Jis tarha itne I’lm ke darya bahaa diye
Ulema-e-Haqq ki aql to hairaan he aaj bhi 

Sub unse jalne waale ke gul hogaye chiraagh
Ahmad Raza ka shamaa firoza he aaj bhi 

Baade wisaal ishqe Nabi kam nahi huwa
Roohe Raza Huzoor pe qurbaan he aaj bhi 

Khidmat Quran-e-Paak ki wo laa jawaab ki
Raazi Raza se Saahib-e-Quran he aaj bhi 

Mirza sare niyaaz jhukaata he is liye
I’lm-o-amal pe aap ka ahsaan he aaj bhi