Current News Coming Soon

Please note that this website is still Under Construction.

OTHER NAATH WRITERS

1. QASEEDA BURDA SHAREEF By Hadrat Sheikh Sharfuddeen Hamaad Booseiri - alaihir rahmah
2. KAABE KE DAR KE SAAMNE By Sayed Ale Rasool Sayyid Hasnain Nazmi Mian Sahib Qibla
3. MEH MADINE CHALA
4. KAAK SOORAJ SE ANDEHRO KA IZALAH HOGA By Khalid Mahmood Khalid
5. AGAYAA WO NOORE WAALA JISKA SAARA NOOR HE By Janab Munawar Badayooni
6. MADANI MADINE WAALE By Maulana Mohammed Ilyaas Attaar Qadri
7. EKH TALAB HE EKH HI KOO LA ILAHA ILLAHU By Janab Mohammed Lateef Apar
8. YA RABB TERE MAHBOOB KA JALWA NAZAR AAYE By Allama Riaz’udeen Suharwardi
9. YA RABB MUJHE DEEWANA MADINA KA BANA DE By Maulana Mohammed Ilyaas Attaar Qadri
10. NOORANI DARBAAR MADINE WAALE KA
11. MERA DIL AUR MERI JAAN MADINE WAALE
12. UN KA JO GHULAAM HOGAYE By Allama Riaz’udeen Suharwardi
13. SWEET MADINA (ENGLISH NAATH)
14. JO MADINA HUM BHI JAATE TO KUCH AUR BAAT HOTI By Janab Bekal Ustahi
15. ALLAHA HA GHAR KULDE KA NAQSHA NAHIE DEKHA By Janab Raaz
16. TERE QADMO ME AANA MERA KAAM THA
17. MANGHTE HE KARAM UNKA SADAA MANGHRAHE HE By Janab Khalid Mahmood Khalid
18. LAB PE NAAT PAAK KA NAGHMA KAL BHI TA By Janab Sabhi Rahmaani
19. BIGRI BANAA-O MAKKI MADANI By Allama Riazudeen Suharwardi
20. MADINE WAALE MERI LAAJPAL By Janab Aleemudeen Aleem
21. MILTI HE MUHAMMAD KI KHAIRAAT MADINE ME By Janab Aabed Barelwi Sahib
22. JAISE MERI SARKAAR HE AISA NAHEIN KO’EE By Khalid Mahmood Khalid
23. LAZZATE ISHQE NABI DIL ME CHUPAE RAKNA By Janab Raaz Ila’Abaadi
24. YE ZAKM HE TAYBA KA YE SUB KO NAHEIN MILTA By Janab Mirza Mohammed
25. AI SABZE GHUMBADH WALE MANZOOR DUA KARNA By Janab Saabir
26. AAJ ASHK MERI NAAT SONAA’E TO AJAB KYA By Janab Adeeb Riapuri
27. DIL KI MURAAD PAA’E GHE AAJ NAHEIN TO KAL SAHEE By Janab Rahbar Chisti
28. JASHNE AHMEDE RASOOL ALLAH HI ALLAH By Janab Aabed Barelwi Sahib
29. KARDO ALLAH KARAM AY MERE SHAHE UMAM By Janab Ishrat
30. JAB MASJID-E-NABAWI KE MINAAR NAZAR AYE By Janab Muhammed Ali Zuhoori


1. QASEEDA BURDA SHAREEF

By Hadrat Sheikh Sharfuddeen Hamaad Booseiri

Alhamdu lillahi munshi’il Khaliqi min ‘adami
Summas Salaatu ‘alal mukhtaari fil Qidami 


Maula Ya Salli Wasallim Daa’iman abadan
Ala Habeebika Khairil Khalqi kul’lihimi 


Astagfirullaha min Qawlim bila ‘amalin
Laqad nasabtu bihi naslal’lazi ‘uqumi 


Muhammadun Sayyidul Kawnayni was Saqalayn
Wal fareeqayni min Arabiw wa ‘ajami 


Huwal Habeebul lazi turja’ Shafaa’atahu
Li Kulli hawlim minal Ahwaali muqtahimi 


Ya Akramal Khalqi maali man Aloozu bihi
Siwaaka inda Huloolil Haadisal ‘amami 


Wal Aaali was Sahbi summat Taabi’eena lahum
Ahlat Tuqa wan Nuqa wal Hilmi wal Karami 


Summar Rida an Abi Bakr’ew wa an Umara
Wa an Ali’yiw wa an Usmaana zil Karami 


Faghfirlana shidiha waghfir liqa ri’iha
Sa altukal Khaira Ya zal joodi wal Karami 


Maula Ya Salli Wasallim Daa’iman abadan
Ala Habeebika Khairil Khalqi kul’lihimi

2. KAABE KE DAR KE SAAMNE


By Sayed Ale Rasool Sayyid Hasnain Nazmi Mian Sahib Qibla 

Kaabe ke dar ke saamne, maangi he ye Du’a fakat
Haatho mein hashr tak rahe, daamane Mustapha fakat 


Apne karam se-ekhuda, ishqe Rasool kar ataa
Aakhri dam labo pe ho, salle ala sada fakat 


Taybah se ko chale, qadmo unke jaan de
Dafan ho unke shehar mein, he yehi iltija fakat 


Meraj ka sharaf milla, yoon to har ek Rasool koh
Arsh ke aage jaa sake, Ahmed Mustapha ka fakat 


Naz’ake waqt jab mere, sanso mein intishar ho
Mere nazar ke saamne, Gumbad ho woh hara fakat 


Munkar Nakir qabar mein, humse sawaal jab kare
Aise mein wird hum rakhe, Aap ke naam ka fakat 


Duniya ki sari ne’mate, nazro mein meri hej ho
Rakhne ko sar pe gar mile, Nalain-e Mustapha fakat 


Naate Rasoole pak he, nazmi ka maqs de haya
Qabar mein bhi labo pe ho, Sarkar ki sanaa fakat

3. MEH MADINE CHALA 

Meh Madine chala, me Madine chala (6)
Phir karam hogaya, meh Madine chala 


Saaqiya meh pilaa, me Madine chala
Masto be khud bana, me Madine chala 


Kaif-sa chaa gaya, me Madine chala
Jhoomta jhoomta, me Madine chala 


Kya bata-o mili, dil ko kayse kushi
Jub ye mujhda suna, me Madine chala 


Muskuraane lagi, mere dil ki gali
Guncha guncha kila, me Madine chala 


Phir ijaazat mili, jub khabar ye suni
Dil mera jhoomta, me Madine chala 


Ashke tumpte nahi, pau jhamte nahi
Lar karata huwa, me Madine chala 


Laaj rakhna Khuda, me Madine chala 
Ay shajar ay hajar, tum bi shamso kamar


Dheko dheko zara, me Madine chala 
Dekh thare mujhe, ye nazare mujhe


Tum bi dheko zara, me Madine chala 
Rooh he muztar teher, tu nikalna udhar


Itni jaldi he kya, me Madine chala 
Haath uthe rahe, mujh ko dethe rahe


Woh talab se siwaa, me Madine chala 
Mere Akaa ka ghar, wo gapeshe nazar


Chaahiye aur kya, me Madine chala 
Mere Siddique Umar, wo Salaam aap par


Aur rehmat saada, me Madine chala 
Woh Uhud ki zamin, jis ke andar makin


Mere Hamza piyaa, me Madine chala 
Ghumbade subse par, jub paregi nazar


Kya suroor aayega, me Madine chala 
Unke Minaar par, jub pare gi nazar


Kya suroor aayega, me Madine chala 
Mimbare noor par, jub uthe gi nazar


Kya suroor aayega, me Madine chala 
Mustapha ke Huzoor, apne sare qusoor


Baksh wale chala, me Madine chala 
Kya karega idhar, pand rakhte safar


Chal Ubaid-e Raza, me Madine chala 
Kya he tune kaha, ai Ubaid-e Raza


Sonch to kuch zara, me Madine chala 
Lutf to jub mile, mere Murshid kahi


Chal Ubaid-e Raza, me Madine chala 
Rehmat-e jhoom kar, barse ataar par
Behre Ahmad Raza, meh Madine chala 

4. KAAK SOORAJ SE ANDEHRO KA IZALAH HOGA

By Janab Khalid Mahmood Khalid

Kaak Sooraj se andehro ka izalah hoga
Aaap aye tho mere ghar me Ujaala hoga 


Hashr me hogah who Sarkaar ke Jandhe ke thale
Mere Sarkaar ka jo chahne wala hoga 


Isqh-e Sarkaar ki ek Sham’ma jalaalo dil me
Baad marne ke Lehad me bhi Ujalaa hoga 


Jab bhi maangho to Waseele se in’hi ke maangho
Is Waseele se Karam aur do baala hoga 


Hashr me is ko bhi seene se lagaa’yenge
Huzoor Jis Ghuneghaar ko har ekh ne taala hoga 


Mahe Tayba ki Tajalli bhi niraali hogee
Aap ke gard bhi Ashaab ka Haala hoga 


Silah Naat Nabi Paayega jis din Khalid
Who karam dekhna tum dekhne walaa hoga 

5. AGAYAA WO NOORE WAALA JISKA SAARA NOOR HE

By Janab Munawar Badayooni

Subho Meelade Nabi he kya suhana Noor he
Agayaa wo noore waala jiska saara Noor he 


Aankh waalo aawo dekho maahe Tayba ki ziyaa
Aasmaan ke chand me to peeka peeka Noor he 


Tu na hota, to na hota do jahaan ka intizaam
Tu zameen ka noor he, tu asmaan ka Noor he 


Jisne jo kuch Noor payaa sub Teri Sarkaar se
Noor ki Sarkaar ka to subse pehla Noor he 


Jistaraf ko ut’gayee aalam munaw’war hogaye
Me Teri Aankho ke Sadqe in me kitna Noor he 


Mustafa ke noor me he Zaate Baari Jalwa ghar
Mustafa ka Noor yoon kehte! Khuda ka Noor he 


Istaraf bi ek nighahe Noorale Noorala
Me sarapaa ma’siyat hoon Tu sarapaa Noor he

6. MADANI MADINE WAALE

By Maulana Mohammed Ilyaas Attaar Qadri 


Mujhe Dar pe phir bulaana Madani Madine Waale
Mahe Ishq bhi pilaana Madani Madine Waale 


Teri jab ke Deed hogee jabhee meri Eid hogee
Meri kwaab me tum aana Madani Madine Waale 


Mujhe sub sataa rahe he mera dil dukhaa rahe he
Tum hi hoslaa barhaana Madani Madine Waale 


Kabhi joki moti roti to kabhi kujooro paani
Tera aysa saadah khaana Madani Madine Waale 


He chataa’i ka bichoona kabhi khaak hi pe sona
Kabhi haat ka sarhaana Madani Madine Waale 


Teri Saadghi pelaakhon teri aa’jazi pelaakhon
Ho Salaam aajizaana Madani Madine Waale 


Meri aadatein ho behtar bane Sunnato kapekar
Mujhe muttaqi banana Madani Madine Waale 


Shaha aya jazba paa’on ke me koob seek jaa’on
Teri Sunnate sikhaana Madani Madine Waale
Madani Madine Waale 


Mere Ghous ka Waseela rahe shaad sab Qabeela
Unhi khuld me basaana Madani Madine Waale
Madani Madine Waale 


Meri aane waali nasle tere Ishq hi me matchle
Unhi nek Tum banana Madani Madine Waale
Madani Madine Waale 


Mile sunnato ka jazba meri bhaa’i chore Maula
Sabi daariya mundaana Madani Madani Waale
Madani madine Waale 


Meri jis qadar me behne kabi burqa pehne
Ho karam Shah’e Zamaana
Madani Madine Waale Madani Madine Waale 


Teri gum me kaash Attaar rahe har ghari ghiriftaar
Game maal se bachaana Madani Madine Waale
Madani Madine Waale

7. EKH TALAB HE EKH HI KHOO LA ILAHA ILLAHU

By Janab Mohammed Lateef Apar 

Ekh talab he ekh hi khoo la ilaha illahu
Ab too he aur too hi too, la ilaha illahu


Teri Ibaadat kya kehna, Teri Haqiqat kya kehna
Ho ghahi dunya qibla roo, la ilaha illahu 


Ut ghahi ankhon se parde, raaz khule sub Jalwon
Mujh se ab kya door he too, la ilaha illahu 


Mujh ko apni pasti ka, chal jaa’e ek roz peta
Saamne jab ho meri too, la ilaha illahu 


Tujh ko dekha he aksar, Tuj ko sunaa un ko sun kar
Tujh me woh aur un me too, la ilaha illahu 


Salle ala se ghunj ut’ti, Teri Haram ki aaj fizaa
Aa’i Madine ki kushboo, la ilaha illahu 


Teri Habeeb ke Sadqe, me Dar tak tere pohoncha rahe
Dil me asar ke Teri khoo, la ilaha illahu

8. YA RABB TERE MAHBOOB KA JALWA NAZAR AAYE

By Allama Riaz’udeen Suharwardi 

Ya Rabb Tere Mahboob ka Jalwa nazar aaye
Is Noor Mujassam ka Saraapa nazar aaye 


Ay kaash kabhi aisa bhi ho kwaab me mere
Hoon jis ki Gulaami me who Aqaa nazar aaye 


Ta Hashr meri qabar me ho jaaye ujaala
Marqad me jo Un ka ruke zebaa nazar aaye 


Jis dar ka banaaya he ghadaa mujh ko Ilaahi
Is dar pe kabhi kaash ye maghta nazar aaye 


Roshan rahe aankhen ye meri ba’de fana bhi
Gar waqt nazaa’e ho Shahe Waala nazar aaye 


Kis aankh ne dekhi he misaal ankhi jahan me
Sarkaar too konain me yakta nazar aaye 


Kaaba ay Riaz is ko banaalo me dil ka
Gar Naqshe Qadam mujh ko Nabi nazar aaye

9. YA RABB MUJHE DEEWANA MADINA KA BANA DE

By Maulana Mohammed Ilyaas Attaar Qadri 

Ya Rabb muje Deewana Madina ka bana de
Peecha meri dunya ki muhabbat se chorade 


Rota ho jis dam me dar’e Aqaa pe pohonchoo
Is waqt mujhe jalwa’e Mahmoob dikha de 


Behti rahe har waqt jo Sarkaar ke gum me
Roti howee woh aankh muje mere Khuda de 


Imaan pe de maut Madine ki ghali me
Madfan mera Mahboob ke qadmo me banade 


Deta hoon tujhe wasta me pyaare Nabi ka
Ummat ko Khuda ya rahe Sunnat pe chalaa de 


Allah mille Hajj ki aisi saal sa’adat
Ataar ko phir Rouza Mahboob dikha de 


Ya Rabb muje Deewana Madina ka bana de
Sehra’e Madina mujhe aankhon se dikha de 

10. NOORANI DARBAAR MADINE WAALE KA 

Har soo’e izhaar Madine Waale ka
Noorani darbaar Madine Waale ka 


Le ke chalo ab mujh ko Madine leke chalo
Me to hoon bimaar Madine Waale ka 


Mujhko hoga naaz ke jab ye logh kahe
Ye manghta he Sarkaar Madine Waale ka 

 

Le ke chalo ab mujh ko Madine leke chalo
Me to hoon bimaar Madine Waale ka 


Mere dil ki yehi ekh tamanna he
Ke hojaye didaar Madine Waale ka 


Meri Dua he mehfil me moujood he jo
Sab dekhe Darbaar Madine Waale ka 


Le ke chalo ab mujh ko Madine leke chalo
Me to hoon bimaar Madine Waale ka 


Jannati he woh Jannati he who Jannati
Jis ke dil me Pyaar Madine Waale ka

11. MERA DIL AUR MERI JAAN MADINE WAALE 

Mera dil aur Meri jaan Madine waale
Tujh pe sawjaan se qurbaan Madine Waale 


Sub ke matloob ka Mahboob he matloob he Too
Allah Allah reh Teri shaan Madine waale 


Tera Dar chor ke jaa’o to kaha jaa’o
Mere Aqaa mere Sultaan Madine waale 


Bar de bar de mere Aqaa meri jholi bar de
Ab na rakh be saro samaan Madine waale 


Aare aati he teri zaat har ekh dokhya ke
Meri mushkil bhi ho aasaan Madine waale 


Phir tamanna-e Ziyaarat me kiya dil be chain
Phir Madine ka he armaan Madine waale

 
Sagge Tayba mujhe sub kaha ke pukaar Hamdam
Yahi rakhe meri pehchaan Madine Waale

12. UN KA JO GHULAAM HOGAYE

By Allama Riaz’udeen Suharwardi 

Un ke jo Ghulaam hogaye
Waqt ke Imaam hogaye


Faiz unke aam hogaye
Do jaha ghulaam hogaye 


Jab bulaaya Aqaa ne
Khud hi Intazaam hogaye 


Paas waale dekhte rahe
Door se Salaam hogaye 


Farsh se woh jaakar ta arsh
Rabb se hum Kalaam hogaye 


Waasta jo Aap ka
Mere saare kaam hogaye 


Naam le wa unke jo huwe
Unke unche naam hogaye 


Muqtadi he saare Ambiya
Mustapha Imaam hogaye 


Ambiya khare he saf ba saf
Mustapha Imaam hogaye 


Mere Mustapha ki shaan dekh kar
Badsha Ghulaam hogaye 


Sab ba sab kare he sab Shaheed
Aur Hussein Imaam hogaye 


Naathe ka he aapke awaaz
Naathe kha awaam hogaye 


Waqf pe naath khaani-e Riaz
Tere sub ho shaam hogaye 

13. SWEET MADINA 

How is beautiful Madina, very very good Madina,
My choice is Madina, How fine is Madina,
I can tell about Madina, We can tell about Madina
Sweet Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, very lovely (x2) 


Give me a chance to go to Madina,
Give me a chance to go to Madina,
Our heart say to us go to Madina,
Sweet Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, very lovely (x2) 


So appealing is Madina, So alluring is Madina,
So enchanting is Madina, So attracting is Madina,
So loving is Madina, So loving is Madina,
So charming is Madina,
Sweet Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, very lovely (x2) 


Everyone’s eyes say their place is Madina,
Everyone’s eyes say their place is Madina,
Each and every heart is saying Madina,
Sweet Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, very lovely (x2) 


Quite nice is Madina, Quite clear is Madina,
Quite fine is Madina, Quite famous is Madina,
Quite matchless is Madina,
Sweet Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, very lovely (x2) 


Connect your heart to love the Madina,
Connect your heart to love the Madina,
Because no city is like Madina,
Sweet Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, very lovely (x2) 


Much bright is Madina, Much glean is Madina,
Much clean is Madina, Much prayer is Madina,
Much holy is Madina, Much kind is Madina,
Sweeet Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, very lovely (x2) 


My wish is Madina, My heart is Madina,
My shelter is Madina, My axis is Madina,
My moon is Madina, My soul is Madina,
My heaven is Madina,
Sweet Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, very lovely (x2) 


We will be forgiven by Muhammad,
We will be forgiven by Muhammad,
Kamals wish is to die in Madina,
Sweet Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, very lovely (x3) 


How is beautiful Madina, Very very good Madina,
My choice is Madina, How fine is Madina,
I can tell about Madina, we can tell about Madina,
Such a beautiful Madina,
Sweet Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, very lovely,
Very lovely, very lovely, very lovely

14. JO MADINA HUM BHI JAATE TO KUCH AUR BAAT HOTI

By Janab Bekal Ustahi 

Jo Madina hum bhi jaate to kuch aur baat hoti
Wohi raah bhool jaate, to kuch aur baat hoti 


Ye hawa ke mast jhoke jo iram se aarahe hai
Yehi Taybah hoke aate, to kuch aur baat hoti 


Meri aankh jab bhi khulti teri rehmato se Aaka
Tujhe saamne jo paata, to kuch aur baat hoti 


Muje zehr dene wale bare kam nazar hai Aaka
Tere naam par pilaate to, kuch aur baat hoti 


Mein Madine ko gaya tha ye bara sharap hai lekin
Wohi dam jo toot jata to, kuch aur baat hoti 


Ye sitaaron ka tabassum hai nazar nawaaz lekin
Mere Aaka muskuraate, to kuch aur baat hoti 


Duniya ke gham mein yeh jo mere aansoo behrahe hai
Tera gham agar rulaata, to kuch aur baat hoti 


Ye jo Naat-e Paak Bekal mehfil mein par rahe hai
Yehi Taybah mein sunaate, to kuch aur baat hoti

15. ALLAHA HA GHAR KULDE KA NAQSHA NAHIE DEKHA

By Janab Raaz 

Allaha ha Ghar kulde ka naqsha nahie dekha
Kuch bhi nahie dekha jo Madina nahie dekha 


Ummat ke liye apne Nawaaso kho lutaya
Jaisa tho jaha mei koyie data nahie dekha 


Ai mauth merie mauth zara aur teher ja
Meine abhi Sarkaar ka Roza nahie dekha 


Jibraeel’ami sunthe he you Zikre Madina
Jaise kabie aankho se Madina nahie dekha 


Rizwa therie Jannath mei mere jee nahie laghta
Meine tho yaha Gumbade kazra nahie dekha 


Har waqt nigaho mei khayalo me raha wo
Me ne kabhi apne kho akela nahie dekha 


Ai Raaz mite raise mere dil ka andhera
Ye Noore ka behta huwa darya nahie dekha

16. TERE QADMO ME AANA MERA KAAM THA 

Tere Qadmo me aana, mera kaam tha
Meri Kismat jagaana, Tera kaam he

Meri aankho ko he, deed ki arazoo
Rukh se Parda uthaana, Tera kaam he 


Teri choukat kahan aur kaha ye jabeen
Tere faiz-e karam ki to hud hi nahi

Jin ko duniya me koyi na apna kahe
unko apna banana Tera kaam he 


Baaraa bat’ta he Sultaane Kaunain ka
Sadqa Moula Ali Sadqa Hasnain ka
Sadqa Khwaja Piya Ghous Saqalain ka
Sadqa Sultan Bahu Peer Kaamil ka
Haaziri hogayi ye bhi in’aam he 


Mere dil me teri yaad ka raaj he
Zahne Tere Tassawur ka muhtaaj he
Har ek nigahe karam me meri laaj he
Laaj meri nibhaana Tera kaam he 


Pesh har aarazoo har tamana karoo
Thaam loo Jaaliya iltija ye karo
Mangne waalo daaman kushaada karo
Noor waale ka Faiz-e-karam aam he 

17. MANGHTE HE KARAM UNKA SADAA MANGHRAHE HE

By Janab Khalid Mahmood Khalid 

Manghte he karam Unka sadaa manghrahe he
Din raat Madine ki Dua mangh rahe he 


Har ne’mate konain he daaman me humare
Hum Sadqa-e-Mehboob-e-Khuda manghrahe he! 


Asraar karam ke dar faqat unparhi khule he
Jo unke Waseele se Dua manghrahe he 


Sarkaar ka Sadqa mere Sarkaar ka Sadqa
Muh’taajo Ghani Shaha-o ghadaa manghrahe he 


Ye maanliye he ke Tera dard he darmaan
Taalib he shifaa ke na dawaa manghrahe he 


Daamane amal me koy’ee nekhi na Khalid
Bus Naate Muhammad ka silaa manghrahe he 

18. LAB PE NAAT PAAK KA NAGHMA KAL BHI TA

By Janab Sabhi Rahmaani 

Lab pe Naate Paak ka naghma kal bhi ta aur aaj bhi he
Meri Nabi se mera rishta kal bhi ta aur aaj bhi he 


Past who kaise hosakta he jis ko Haqq ne buland kiya
Dono jahan me Un ka charcha kal bhi ta aur aaj bhi he 


Aur kissi jaanib kyu jaa’e aur kissi ko kyu dekhe
Apna sub kuch Ghumbade Khazra kal bhi ta aur aaj bhi he 


Fikr nahein he hum ko kuch bhi dukh ki dhoop ghari to kya
Hum par unke fazl ka saaya kal bhi ta aur aaj bhi he 


Batla do Ghustaaq Nabi ko ghairat Muslim zinda ho
Deen pe mar mitne ka jazba kal bhi ta aur aaj bhi he 


In ke Dar se sub ho aaye jaana saka to ekh Sabhi
Ye ke ekh Tasweer tamanna kal bhi ta aur aaj bhi he

19. BIGRI BANAA-O MAKKI MADANI

By Allama Riazudeen Suharwardi 

Bigri banaa-o Makki Madani, Bigri banaa-o Makki Madani
Dar pe bulaa-o, dar pe bulaa-o, Makki Madani 

Deed teri he Eid meri, Jalwah dikha-o Makki Madani
Makki Madani Makki Madani, Makki Madani Makki Madani 

Hum ho ghunahon me doobe huwe, Jaise he nibha-o Makki Madani
Makki Madani Makki Madani, Makki Madani Makki Madani 

Mehshar me hoga lab pe yehi, Hum ko bacha-o Makki Madani
Makki Madani Makki Madani, Makki Madani Makki Madani 

Sadqa Apne Nawaason ka, Dukhre mitha-o Makki Madani
Makki Madani Makki Madani, Makki Madani Makki Madani 

Rabb ka Dulaara Makki Madani, Aaqa hamara Makki Madani
Makki Madani Makki Madani, Makki Madani Makki Madani 

Rabb ka Dulaara Makki Madani, Aaqa hamara Makki Madani
Ekh Ishaara, Ekh Ishaara Makki Madani 

Banti he bigri ghar kar de, Ekh Ishaara Makki Madani
Ekh Ishaara, Ekh Ishaara Makki Madani 

Aaye madad ko tum is ki Aqaa
Aayi Madad ko tum is ki
Jis ne pukaara Makki Madani
Jis ne pukaara Makki Madani 

Bheek pe Teri hota he
Mera ghuzaara Makki Madani
Mera ghuzaara, Mera ghuzaara, Makki Madani 

Toote dilo ki dharas he, Naam Tumhara Makki Madani
Ism Muqaddas Noorani, Ankhon ka Taara Makki Madani
Doori Riaz ko Dar se Tere
Kab he ghowaara Makki Madani 

20. MADINE WAALE MERI LAAJPAL

By Janab Aleemudeen Aleem 

Madine Waale meri Laajpal
Madine Waale meri Laajpal

Sadqa Ali Hasnain ka de kar
Kar do malamaal
Naaz he jis par sub Nabbiyo ko
Aise sakhi Daata he woh To
Kangalo ko dete he, pal me malamaal
Madine Waale meri Laajpal
Madine Waale meri Laajpal 
Wasta Shabbir Shabbar ka
Wasta Baba Ganj Shakr ka
Wasta Ajmeri Khwaja ka
Mushkil meri Taal
Madine Waale meri Laajpal
Madine Waale meri Laajpal 
Dard Owaisi Sooze Bilaali
Kije ata Kausar Waali
Na Sona chandi mangho
Na mangho me maal

Madine Waale meri Laajpal
Madine Waale meri Laajpal

21. MILTI HE MUHAMMAD KI KHAIRAAT MADINE ME

By Janab Aabed Barelwi Sahib 


Bigre huwe bante he, halaat Madine me
Milti he Muhammad ki, Khairaat Madine me 

Jo baat ka Maula ne, Firdous ko bakhshi he
Aati he nazar hum ko, woh baat Madine me 

Ay zaaire Tayba ke, Daamane tahi bhar lo
Ekraam ki hoti he, barsaat Madine me 

Ya Rabb ye tamanna he, mudat se mere dil me
Meri bhi kabhi ghuzre, ekh raat Madine me 

Me’raaj ki shab Aqaa, jab ban ki chale
Doola Utri thi Farishto ki, baraat madine me 

Mujh ko bhi Shahe-batha gar, izne Huzoori de
Le jaa-o Duroodon ki, sooghat Madine me 

Aabed ye sabaa kehti, phirti he zamane me
He khuld ke meo’on ke ba gaat Madine me

22. JAISE MERI SARKAAR HE AISA NAHEIN KO’EE

By Khalid Mahmood Khalid 

Ab meri Nigahon mein to jajta nahein ko’ee
Jaise meri Sarkaar he aisa nahein ko’ee 

Tum sa to husin aankh ne dekha nahein ko’ee
Ye shaane latafat he ke sayaa nahein ko’ee 

Ay zarfe nazar dekh maghar dekh adab se
Sarkaar ka jalwoh he tamashaa nahein ko’ee 

Ye toor se kehtie he abhi tak shabbe Me’raj
Didaar ki taakat ho to parda nahein ko’ee 

I’zaaz ye haasil he to haasil he zameen ko
Aflaak pe to Ghumbade Khazra nahein ko’ee 

Hota he jahan Zikre Muhammad ke karam ka
Is Bazm me mehroome tamanna nahein ko’ee 

Sarkaar ki rahmat ne maghar koob nawaaza
Ye sach he ke Khalid sa nikama nahein ko’ee 

23. LAZZATE ISHQE NABI DIL ME CHUPAE RAKNA

By Janab Raaz Ila’Abaadi 

Lazzate Ishqe Nabi dil me chupae rakhna
Ye khazaana he luteron se bachaa’e rakhna 

Apni ankhon me Madina ko basaa’e rakhna
Sabse Ghumbad se nighaa’on ko laghaa’e rakhna 

Jaane Imaa bhi wahi haasil Imaa bhi wahi
Yaade Sarkaar ko seene se laghaa’e rakhna 

Aaj jaahil bhi he Aalim ka libaadah awreh
Aise mullah-o se Imaan bachaa’e rakhna 

Ghulshane Tayba ke kaante hi bohot he mujhko
Kaghazi phoolo se daaman ko choepa’e rakhna 

Rabbe Kaaba ke liye sar ko jhuka na lekin
Jaane Kaaba ki taraf Aas laghaa’e rakhna 

Tere Sajdo ko bhi mil jaa’e ghi Me’raaje wafa
Sar jukhana to zara dil bhi jhuka’e rakhna 

Warafa’na laka zikrak he unhi ki khaatir
Raaz is raaz ko seene se lagha rakhna

24. YE ZAKM HE TAYBA KA YE SUB KO NAHEIN MILTA

By Janab Mirza Mohammed 

Baatein bhi Madine ki, raatein bhi Madine ki
Jeene me ye jeena kya, baat he jeene ki 

Arsa huwa Tayba ki, ghalyon se woh ghuzre the
Is waqt bhi ghalyon me, khusboo he Paseene ki 

Ye zakm he Tayba ka, ye sab ko nahein milta
Koshish na kare ko’ee, is zakm ko seene ki 

Toofan ki kya parwah, ye bhool nahein sakta
Daaman he Dua un ki, Ummat ke safeene ki 

Har saal ke aane ka, I’zaaz he Mirza
Sarkaar banaate he, taqdeer kameene ki 

25. AI SABZE GHUMBADH WALE MANZOOR DUA KARNA

By Janab Saabir 

Ai Sabze Ghumbadh wale manzoor Dua karna
Jab waqt nazah aye deedar atha karna 

Ai Noor-e-Khuda aakar ankho me samaa jana
Ya Dar pe bhulaalenah ya Khaab me aajana

Ai Pardah nashi dil ke parde me reha karna
Jab waqt nazah aye deedar atha karna 

Mehboob Ilaahi sa koyi na hasee dekha
Ye Shaan he in ki se saaya bhi nahi dekha

Allah ne saayeh ko chaha na Judah karna
Jab waqt nazah aye deedar atha karna 

Me qabre andheri me ghabrah wohnga jab thanha
Imdaad mere karne ajaana zarah esharah

Roshan meri Turbath ko Lillah zara karna
Jab waqt nazah aye deedar atha karna 

Chereh se diya paaye in chand sithaaro ne
Us dar se Shifa paaye dukh dard ke maaro ne

Atha he inni Saabir har dukh ki dhawa karna
Jab waqt nazah aye deedar atha karna

26. AAJ ASHK MERI NAAT SONAA’E TO AJAB KYA

By Janab Adeeb Riapuri 

Aaj ashk mere Naat soonaa’e to ajab kya
Sun kar woh mujhe paas bulaa’e to ajab kya 

Deedar ke qaabil to kaha meri nazar he
Lekin woh kabhi khwaab me aaye to ajab kya 

Un par to ghunahagaar ka sub haal khula he
Us par bhi who daaman me choepaa’e to ajab kya 

Haasil jinhi Aqaa ki ghulaami ka sharaf he
Tokar se woh moordo ko jalaa’e to ajab kya 

Muh dhan ke rakna ke ghunahagaar bohot ho
Mayyit ko meri dekhne aye to ajab kya 

Na zaade safar he na koyee kaam bhale he
Lekin mujhe Sarkaar bulaa’e to ajab kya 

Woh husne do alam he Adeeb Un ka karam he
Sehra bhi ghir phool khilaa’e to ajab kya

27. DIL KI MURAAD PAA’E GHE AAJ NAHEIN TO KAL SAHEE

by Janab Rahbar Chisti 

Dar pe Nabi ke jaa’eghe aaj nahein to kal sahee
Dil ki muraad paa’e ghe aaj nahein to kal sahee 

Salle ala Nabiyena parte raho qadam qadam
Aqaa tumhe bulaa’eghe aaj nahein to kal sahee 

Hum bhi Dayaar Paak me Un ke karam se dekhna
Naa’te Unhe soonaa’e ghe aaj nahein to kal sahee 

Josh pe jub bhi aaghayaa Un ka karam to dekhna
Tayba hame dekha’e ghe aaj nahein to kal sahee 

Pesh nazar woh Astaa hogha hame yaqeen he
Dil ki laghi bajaa’e ghe aaj nahein to kal sahee 

Husn talab le huwe rehbar rawa dawa raho
Manzile ishk paa’e ghe aaj nahein to kal sahee

28. JASHNE AHMEDE RASOOL ALLAH HI ALLAH

by Janab Aabed Barelwi Sahib 

Jashne Ahmede Rasool Allah hi Allah
Bi Bi Aamina ke phool Allah hi Allah 

Un ki khaatir ye dunya banaa’i ga’ee
Dono alam ki har shay sajaaie ga’ee
Woh jo aa’ye jahaa me bahaar aaga’ee
Har taraf rahmato ki ghata cha ga’ee
Aisa ban ke phool Allah hi Allah
Jahne Ahmede Rasool Allah hi Allah 

Ghar Halima ka aamad se un ki sajaa
San Saheefo me un ka huwa tazkirah
Un ka arma Khaleel Khuda ne kiya
Bi Bi Maryam ne bhi Un ko di ye dua
Dua hoga’ee qabool Allah hi Allah
Jashne Ahmede Rasool Allah hi Allah 

Un ke aane se aaman aashti aagha’ee
Nasle Adam nay zindaghi pa ga’ee
Sare alam me harso khoshee cha ga’ee
Un ke anwaar ki roshni aagha’ee
Aisa aaye he Rasool Allah hi Allah
Jashne Ahmede Rasool Allah hi Allah 

Zaate Rab Ta’ala ke dolaare he woh
Doono alam ki ankhon ke tare he woh
Saare Nabiyo me sub se pyaare he woh
Be sahaaro ke Aabed sahare he woh
He woh Ronaqe Batool Allah hi Allah
Jashne Ahmede Rasool Allah hi Allah 

29. KARDO ALLAH KARAM AY MERE SHAHE UMAM

by Janab Ishrat 

Kardo Allah karam ay mere Shahe Umam
Deeda jalwo ki ataa keeje aankhe he nam 

Rahmate Rabbe ala Sarware ardo sama!
Hum gunegar sahee Teri ummat me he hum 

Sabze Ghumbad ki faqat tasnaghi awj pe he
Rakna ya salle ala hum faqeero ka bharam 

Zeest ki ekh ghari sakht mushkil he khari
Ab bulaa le’jiye hame tan me saanse bhi he kam 

He dua shaam-o sahar ho Madine ka safar
Khaake Aqdas pe jabein jhukte hi nikle ye dam 

He dua seekh le woh Naat lekhne ka hunar
Kar do Ishrat ko ataa Ya Nabi aisa qalam 


30. JAB MASJID-E-NABAWI KE MINAAR NAZAR AYE

By Janab Muhammed Ali Zuhoori 

Jab Masjid-e-Nabawi ke Minaar nazar aye
Allah ki Rahmat ke asaar nazar aye 

Manzar ho bayah kayse alfaaz nahi milthi
Jis waqt Muhammad ka Darbaar nazar aye 

Bas yaad rahe itna seene se lagi Jaali
Phir yaad nahi kya kya Anwaar nazar aye 

Dukh dard ke maaro ko gham yaad nahi rehte
Jab saamene ankho ke ghamkwaar nazar aye 

Makke ki fizaawoh me Taybah ki hawawo me
Ham ne tho jidhar dekha Sarkaar nazar aye 

Chor aya Zuhoori me dil jaan Madine me
Ab jinah yaha mujh ko dushwaar nazar aye